اردو हिंदी
Teri aankhen tera husn-e-jawan tahrir karte hain | Shaahi Shayari
teri aankhen tera husn-e-jawan tahrir karte hain

Ghazal

Teri aankhen tera husn-e-jawan tahrir karte hain

Jameel Yusuf

;

teri aankhen tera husn-e-jawan tahrir karte hain
zamin ki pastiyon mein aasman tahrir karte hain

koi mausam KHizan se aashna us ko nahin karta
hum apne KHun se jo gulsitan tahrir karte hain

zamane ki koi karwaT use sanwla nahin sakti
hum apni aanch se jo kahkashan tahrir karte hain

koi diwar us ka rasta kya rok sakti hai
hawa ki lauh par apna bayan tahrir karte hain

guzarte waqt ko aab-e-rawan ka nam dete hain
faraghat ko nashat-e-be-karan tahrir karte hain

KHayal-o-KHwab ko alfaz mein Dhaala nahin jata
jo karna chahte hain wo kahan tahrir karte hain

zamane ko wo apni dastan malum hoti hai
haqiqat mein hum apni dastan tahrir karte hain