اردو हिंदी
Tere maslak mein kya itna bhi samjhaya nahin jata | Shaahi Shayari
tere maslak mein kya itna bhi samjhaya nahin jata

Ghazal

Tere maslak mein kya itna bhi samjhaya nahin jata

Nawaz Asimi

;

tere maslak mein kya itna bhi samjhaya nahin jata
faqiron aur durweshon se Takraya nahin jata

nae jumle talasho waqai gar tum muqarrar ho
har ek taqrir mein jumlon ko dohraya nahin jata

teri furqat mein sare jism ko pathra diya main ne
faqat aankhen bachi hain in ko pathraya nahin jata

tu apne ohda-e-munsif se munsif istifa de de
agar haqdar ka haq tujh se dilwaya nahin jata

anal-haq kahne wale aaj bhi maujud hain lekin
unhen is daur mein phansi pe laTkaya nahin jata

hawa ho tez to diwar-o-dar tharrane lagte hain
magar is KHauf se ghar chhoD ke jaya nahin jata

bahut se peD aadam-KHor-KHaslat wale hote hain
'nawaz' har peD ke saye mein sustaya nahin jata