tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae
teri rah mein karte the sar talab sar-e-rahguzar chale gae
teri kaj-adai se haar ke shab-e-intizar chali gai
mere zabt-e-haal se ruTh kar mere gham-gusar chale gae
na sawal-e-wasl na arz-e-gham na hikayaten na shikayaten
tere ahd mein dil-e-zar ke sabhi iKHtiyar chale gae
ye hamin the jin ke libas par sar-e-rah siyahi likhi gai
yahi dagh the jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yar chale gae
na raha junun-e-ruKH-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahgar chale gae
Ghazal
Tere gham ko jaan ki talash thi tere jaan-nisar chale gae
Faiz Ahmad Faiz