tere darsan ki main hun sain mati
muje lawo piya chhati sun chhati
piyare hat dhar sambhaalo munj kun
ki til til duti tuj mati Daraati
piram pyala pilawo munj kun dam dam
ki tun hai do jagat mein munj sangati
na rakhun tuj nayan mein rakhun dil mein
ki tun mera piyara jiw ka sati
piya ke dhyan sun main mast hun mast
munje birhe ke binan ki sunati
agar yak til paDe antar piya sun
nayan jal sun sapat samdar bharaati
nabi sadqe kahe 'qubta' ki pyari
rijha dam dam adhar pyala pilati
Ghazal
Tere darsan ki main hun sain mati
Quli Qutub Shah

