اردو हिंदी
Tere ahl-e-dard ke roz-o-shab isi kashmakash mein guzar gae | Shaahi Shayari
tere ahl-e-dard ke roz-o-shab isi kashmakash mein guzar gae

Ghazal

Tere ahl-e-dard ke roz-o-shab isi kashmakash mein guzar gae

Shamim Jaipuri

;

tere ahl-e-dard ke roz-o-shab isi kashmakash mein guzar gae
kabhi gham mein Dub ke rah gae kabhi Dubte hi ubhar gae

ye maqam-e-ishq hai kaun sa na shikayaten hain na shukriya
jo tere sitam pe nisar the wo tere karam se bhi Dar gae

sar-e-rah dair-o-haram kahin jo mile bhi hon to ajab nahin
hamein kya KHabar teri justuju mein kahan kahan se guzar gae

hain wafa ki rah-e-daraaz mein nai manzilen nae marhale
wo banenge kya mere ham-safar jo qadam qadam pe Thahar gae

jinhen naKHuda se umid thi unhen naKHuda ne Dubo diya
jo ulajh ke rah gae mauj se wo kabhi ke par utar gae

jo kabhi sharab-e-nashat hai to hai zahr-e-gham kabhi jam mein
hai ye zindagi koi zindagi abhi ji uThe abhi mar gae

wo nigah kaisi nigah thi ki 'shamim' se wo na chhup sake
ye ada bhi qabil-e-did hai jo mile to bach ke guzar gae