tera jalwa nihayat dil-nashin hai
mohabbat lekin is se bhi hasin hai
junun ki koi manzil hi nahin hai
yahan har gam gam-e-awwalin hai
suna hai yun bhi akasr zikr un ka
ki jaise kuchh talluq hi nahin hai
masiha ban ke jo nikle the ghar se
lahu mein tar unhin ki aastin hai
main rah-e-ishq ka tanha musafir
kise aawaz dun koi nahin hai
'shamim' us ko kahin dekha hai tum ne
suna hai wo rag-e-jaan se qarin hai
Ghazal
Tera jalwa nihayat dil-nashin hai
Shamim Jaipuri

