tilism-e-ishq tha sab us ka sath hone tak
KHayal-e-dard na aaya najat hone tak
mila tha hijr ke raste mein subh ki manind
bichhaD gaya tha musafir se raat hone tak
ajib rang ye basti hai us ki nagri bhi
har ek nahr ko dekha furaat hone tak
wo is kamal se khela tha ishq ki bazi
main apni fath samajhta tha mat hone tak
hai istiara ghazal us se baat karne ka
yahi wasila hai ab us se baat hone tak
main us ko bhulna chahun to kya karun 'adil'
jo mujh mein zinda hai KHud meri zat hone tak
Ghazal
Tilism-e-ishq tha sab us ka sath hone tak
Tajdar Adil