tir par tir lagao tumhein Dar kis ka hai
sina kis ka hai meri jaan jigar kis ka hai
KHauf-e-mizan-e-qayamat nahin mujh ko ai dost
tu agar hai mere palle mein to Dar kis ka hai
koi aata hai adam se to koi jata hai
saKHt donon mein KHuda jaane safar kis ka hai
chhup raha hai qafas-e-tan mein jo har tair-e-dil
aankh khole hue shahin-e-nazar kis ka hai
nam-e-shair na sahi sher ka mazmun ho KHub
phal se matlab hamein kya kaam shajar kis ka hai
said karne se jo hai tair-e-dil ke munkir
ai kaman-dar tere tir mein par kis ka hai
meri hairat ka shab-e-wasl ye bais hai 'amir'
sar ba-zanu hun ki zanu pe ye sar kis ka hai
Ghazal
Tir par tir lagao tumhein Dar kis ka hai
Ameer Minai