tir KHatm hain to kya hath mein kaman rakhna
is muhib jangal mein hausla jawan rakhna
kya pata hawaen kab mehrban ho jaen
paniyon mein jab utro sath baadban rakhna
ranjishen bhula dena fasle miTa dena
ek mahin sa parda phir bhi darmiyan rakhna
hum bhi honT si lenge ji sake to ji lenge
kya koi zaruri hai bolti zaban rakhna
ye ghaDi to aai thi yun hi sargirani thi
ab fuzul lagta hai koi saeban rakhna
lahr lahr bikhri hai qahr qahr dariya mein
be-jawaz lagta hai sai-e-raegan rakhna
dusron ki zid hun main kitna munfarid hun main
ye bhi kya ki sab jaisa sar pe aasman rakhna
Ghazal
Tir KHatm hain to kya hath mein kaman rakhna
Shafiq Saleemi

