tir-e-nazar ne zulm ko ehsan bana diya
tarkib-e-dil ne dard ko darman bana diya
sad shukr aaj ho gai takmil ishq ki
apne ko KHak-e-kucha-e-jaanan bana diya
kotahi koi dast-e-junun se nahin hui
daman ko ham-kanar-e-gireban bana diya
chhoDi hai jab se main ne salamat-rawi ki chaal
dushwariyon ko rah ki aasan bana diya
ai mishal-e-ummid ye ehsan kam nahin
tarik shab ko tu ne daraKHshan bana diya
husn-afrin hua hai tasawwur jamal ka
dil ko hawa-e-gul ne gulistan bana diya
zohd aur ittiqa pe mujhe apne naz tha
KHud main ne tujh ko dushman-e-iman bana diya
aaina-e-jamal ko dekhunga kis tarah
us ne to pahle hi mujhe hairan bana diya
wo imtiyaz-e-husn hai mani o lafz ka
'wahshat' ko jis ne 'ghaalib'-e-dauran bana diya
Ghazal
Tir-e-nazar ne zulm ko ehsan bana diya
Wahshat Raza Ali Kalkatvi