اردو हिंदी
ThoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka | Shaahi Shayari
thoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka

Ghazal

ThoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka

Lala Madhav Ram Jauhar

;

thoDa hai jis qadar main paDhun KHat habib ka
dekha hai aaj aankhon se likkha nasib ka

hum mai-kashon ne nashshe mein aise kiye sawal
dam band kar diya sar-e-mimbar-KHatib ka

sayyaad ghat mein hai kahin baghban kahin
sara chaman hai dushman-e-jaan andalib ka

apni zaban se mujhe jo chahe kah len aap
baDh baDh ke bolna nahin achchha raqib ka

aankhen safed ho gain jab intizar mein
us waqt nama-bar ne diya KHat habib ka

qismat Dubone lai hai dariya-e-ishq mein
ai KHizr par kijiye beDa gharib ka

wo be-KHata hain un se shikayat hi kis liye
'jauhar' ye sab qusur hai apne nasib ka