اردو हिंदी
Tha harf-e-shauq said hua kaun le gaya | Shaahi Shayari
tha harf-e-shauq said hua kaun le gaya

Ghazal

Tha harf-e-shauq said hua kaun le gaya

Zubair Rizvi

;

tha harf-e-shauq said hua kaun le gaya
main jis ko sun sakun wo sada kaun le gaya

ek main hi jama-posh tha uryaniyon ke bich
mujh se meri aba o qaba kaun le gaya

ehsas bikhra bikhra sa haara hua badan
chaDhti hararton ka nasha kaun le gaya

baaton ka husn hai na kahin shoKHi-e-bayan
shahr-e-nawa se harf o sada kaun le gaya

main kab se hun asir sarabon ke jal mein
nile samundaron pe ghaTa kaun le gaya

mai-KHana chhoD ghar ki fazaon mein aa gae
hum se mata-e-laghzish-e-pa kaun le gaya

main jab na tha to mujh pe bahut qahqahe lage
ahbab se sirisht-e-wafa kaun le gaya