tha ghair ka jo ranj-e-judai tamam shab
nind un ko mere sath na aai tamam shab
shikwa mujhe na ho jo mukafat had se ho
wan sulh ek dam hai laDai tamam shab
ye Dar raha ki sote na paen kahin mujhe
wade ki raat nind na aai tamam shab
sach to ye hai ki bol gae aksar ahl-e-shauq
bulbul ne ki jo nala-sarai tamam shab
dam bhar bhi umr khoi jo zikr-e-raqib mein
kaifiyat-e-visal na pai tamam shab
thoDa sa mere haal pe farma kar iltifat
karte rahe wo apni baDai tamam shab
wo aah tar o paud ho jis ka hawa-e-zulf
karti hai ambari o sabai tamam shab
wo subh jalwa jalwagar-e-bagh tha jo raat
murgh-e-sahar ne dhum machai tamam shab
afsane se bigaD hai an-ban hai KHwab se
hai fikr-e-wasl o zikr-e-judai tamam shab
jis ki shamim-e-zulf pe main ghash hun 'shefta'
us ne shamim-e-zulf sunghai tamam shab

Ghazal
Tha ghair ka jo ranj-e-judai tamam shab
Shefta Mustafa Khan