اردو हिंदी
Teri ulfat shoabada-parwaz hai | Shaahi Shayari
teri ulfat shoabada-parwaz hai

Ghazal

Teri ulfat shoabada-parwaz hai

Bedam Shah Warsi

;

teri ulfat shoabada-parwaz hai
aarzu gar hai tamanna-saz hai

phir hadis-e-ishq ka aaghaz hai
aaj phir goya zaban-e-raaz hai

ganj-e-asrar-e-azal hai bagh-e-dahr
patta patta daftar-e-sad-raaz hai

jaan de di un pe aur zinda rahe
apne marne ka naya andaz hai

hoshiyar ai nawak-afgan hoshyar
tair-e-jaan mail-e-parwaz hai

ruKHsat ai aql-o-KHirad hosh-o-hawas
shauq-e-wasl-e-yar ka aaghaz hai

mere nale sun ke farmate hain wo
ye usi ki dukh-bhari aawaz hai

jis ko sab samjhe hain dasht-e-karbala
wo to maidan-e-niyaz-o-naz hai

zarre zarre mein ayan hone ke baad
aaj tak raaz-e-haqiqat raaz hai

aap jaanchen majma-e-ushshaq mein
un mein 'bedam' sa koi jaan-baz hai