teri nigah se tujh ko KHabar hai ki kya hua
dil zindagi se bar-e-digar aashna hua
ek ek qadam pe us ke hua sajda-rez main
guzra tha jis jahan ko kabhi raundta hua
dekha tujhe to aarzuon ka hujum tha
paya tujhe to kuchh na tha baqi raha hua
dasht-e-junun mein reg-e-rawan se KHabar mili
phirta raha hai tu bhi mujhe DhunDhta hua
ehsas-e-nau ne zist ka naqsha badal diya
mahrumiyon ka yun to chaman hai khila hua
chamka hai ban ke sarw-e-charaghan tamam umr
kya aansuon ka tar tha tujh se bandha hua
bikhre hain zindagi ke kuchh is tarah tar-o-pud
har zarra apne-ap mein mahshar-numa hua
puchho to ek ek hai tanha sulag raha
dekho to shahr shahr hai mela laga hua
parda uTha sako to jigar tak gudaz hai
chaho ki KHud ho yun to hai patthar paDa hua
insan-dosti ke taqazon ka silsila
insan-dushmani ki hadon se mila hua
aqdar ke fareb mein ab aa chuka 'nazar'
kashti Dubo gaya jo KHuda, naKHuda hua
Ghazal
Teri nigah se tujhko KHabar hai ki kya hua
Qayyum Nazar