teri nazar ka rang bahaaron ne le liya
afsurdagi ka rup taranon ne le liya
jis ko bhari bahaar mein ghunche na kah sake
wo waqia bhi mere fasanon ne le liya
shayad milega qariya-e-mahtab mein sukun
ahl-e-KHirad ko aise gumanon ne le liya
yazdan se bach raha tha jalalat ka ek lafz
us ko haram ke shoKH bayanon ne le liya
teri ada se ho na saka jis ka faisla
wo zindagi ka raaz nishanon ne le liya
afsana-e-hayat ki takmil ho gai
apnon ne le liya ki beganon ne le liya
bhuli nahin wo qaus-e-quzah ki si suraten
'saghar' tumhein to mast dhiyanon ne le liya

Ghazal
Teri nazar ka rang bahaaron ne le liya
Saghar Siddiqui