teri KHushbu ka pata karti hai
mujh pe ehsan hawa karti hai
chum kar phul ko aahista se
moajaza baad-e-saba karti hai
khol kar band-e-qaba gul ke hawa
aaj KHushbu ko riha karti hai
abr baraste to inayat us ki
shaKH to sirf dua karti hai
zindagi phir se faza mein raushan
mishal-e-barg-e-hina karti hai
hum ne dekhi hai wo ujli saat
raat jab sher kaha karti hai
shab ki tanhai mein ab to akasr
guftugu tujh se raha karti hai
dil ko us rah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne mein raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye aankh
dil ka ahwal kaha karti hai
mushaf-e-dil pe ajab rangon mein
ek taswir bana karti hai
be-niyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par nam likha karti hai
dekh tu aan ke chehra mera
ek nazar bhi teri kya karti hai
zindagi bhar ki ye taKHir apni
ranj milne ka siwa karti hai
sham paDte hi kisi shaKHs ki yaad
kucha-e-jaan mein sada karti hai
masala jab bhi charaghon ka uTha
faisla sirf hawa karti hai
mujh se bhi us ka hai waisa hi suluk
haal jo tera ana karti hai
dukh hua karta hai kuchh aur bayan
baat kuchh aur hua karti hai
Ghazal
Teri KHushbu ka pata karti hai
Parveen Shakir