tere pyar mein ruswa ho kar jaen kahan diwane log
jaane kya kya puchh rahe hain ye jaane-pahchane log
har lamha ehsas ki sahba ruh mein Dhalti jati hai
zist ka nashsha kuchh kam ho to ho aaen mai-KHane log
jaise tumhein hum ne chaha hai kaun bhala yun chahega
mana aur bahut aaenge tum se pyar jatane log
yun galiyon bazaron mein aawara phirte rahte hain
jaise is duniya mein sabhi aae hon umar ganwane log
aage pichhe daen baen sae se lahraate hain
duniya bhi to dasht-e-bala hai hum hi nahin diwane log
kaise dukhon ke mausam aae kaisi aag lagi yaro
ab sahraon se late hain phulon ke nazrane log
kal matam be-qimat hoga aaj un ki tauqir karo
dekho KHun-e-jigar se kya kya likhte hain afsane log
Ghazal
Tere pyar mein ruswa ho kar jaen kahan diwane log
Obaidullah Aleem