tere liye chale the hum tere liye Thahar gae
tu ne kaha to ji uThe tu ne kaha to mar gae
kaT hi gai judai bhi kab ye hua ki mar gae
tere bhi din guzar gae mere bhi din guzar gae
tu bhi kuchh aur aur hai hum bhi kuchh aur aur hain
jaane wo tu kidhar gaya jaane wo hum kidhar gae
rahon mein hi mile the hum rahen nasib ban gain
wo bhi na apne ghar gaya hum bhi na apne ghar gae
waqt hi judai ka itna tawil ho gaya
dil mein tere visal ke jitne the zaKHm bhar gae
hota raha muqabla pani ka aur pyas ka
sahra umaD umaD paDe dariya biphar biphar gae
wo bhi ghubar-e-KHwab tha hum bhi ghubar-e-KHwab the
wo bhi kahin bikhar gaya hum bhi kahin bikhar gae
koi kanar-e-abju baiTha hua hai sar-nigun
kashti kidhar chali gai jaane kidhar bhanwar gae
aaj bhi intizar ka waqt hunut ho gaya
aisa laga ki hashr tak sare hi pal Thahar gae
barish-e-wasl wo hui sara ghubar dhul gaya
wo bhi nikhar nikhar gaya hum bhi nikhar nikhar gae
aab-e-muhit-e-ishq ka bahr ajib bahr hai
taire to gharq ho gae Dube to par kar gae
itne qarib ho gae apne raqib ho gae
wo bhi 'adim' Dar gaya hum bhi 'adim' Dar gae
us ke suluk par 'adim' apni hayat o maut hai
wo jo mila to ji uThe wo na mila to mar gae
Ghazal
Tere liye chale the hum tere liye Thahar gae
Adeem Hashmi