tera chehra dekh ke har shab subh dobara likhti hai
barg-e-gul par mauj-e-saba bhi nam tumhaara likhti hai
chappa chappa mera mazi jis ke dam se raushan hai
apne dil par wo bhi kabhi kya nam tumhaara likhti hai
kis ka chehra kis ki aankhen dekh ke kali lambi raat
soch mein Dubi chupke chupke chand sitara likhti hai
be-bas kashti paDh leti hai fitrat ki wo bhi tahrir
mauj-e-bala jab aab-e-rawan par koi ishaara likhti hai
karobar-e-shauq mein ab to haalat ye aa pahunchi hai
subh ziyan tahrir kare to sham KHasara likhti hai
raat ki kali tahriron se tab tak hun mahfuz 'nizam'
ek sitara jab tak ruKH par subh ka tara likhti hai
Ghazal
Tera chehra dekh ke har shab subh dobara likhti hai
Shoaib Nizam

