tarh-e-kashan jise hijran-e-yar kahte hain
hum us ko wasl hamesha bahaar kahte hain
rawa-rawi mein jo KHaka sa khinch gaya tha kabhi
use bhi motaqidan shah-kar kahte hain
wo mohmalat se nukte nikal sakta hai
ise fatanat-e-anqa shikar kahte hain
nahin hain sanat-e-zul-wajhatain ke qael
ki harf-e-haq ho to hum aashkar kahte hain
bahaar nam hai tahzib-e-mausam-e-dil ka
awam mausam-e-gul ko bahaar kahte hain
unhin se puchh ki ye istiara kis se hai
nafas ko jo nafs-e-mustaar kahte hain
wafa na kar to hamari wafa ki dad hi de
tere firaq ko hum intizar kahte hain
yahin talak jo mere sath aa ke lauT gae
wo sang-e-mil ko sang-e-mazar kahte hain
kinar-e-yar wahan se bas ek shalang pe hai
wo jis ko kaj-kulahan auj-dar kahte hain

Ghazal
Tarh-e-kashan jise hijran-e-yar kahte hain
Rasheed Kausar Farooqi