taqdir mein izafa-e-soz-e-wafa hua
dil mein jo tum ne aag laga di to kya hua
kahte hain jis ko maut hai ek be-KHudi ki nind
us ko fana kahan hai jo tujh par fana hua
ai KHadiman-e-husn ye kya intizam hai
ab tak charagh-e-tur paDa hai bujha hua
hasti o nisti ki haden dur rah gain
ye aa gaya kahan main tujhe DhunDhta hua
munh se dua nikal hi gai waqt-e-qatl bhi
kahna ye tha ki haqq-e-mohabbat ada hua
bahs-e-niyaz-o-naz thi kal bazm-e-husn mein
'simab' kuchh KHabar nahin kya faisla hua
Ghazal
Taqdir mein izafa-e-soz-e-wafa hua
Seemab Akbarabadi

