taqdir ka shikwa be-mani jina hi tujhe manzur nahin
aap apna muqaddar ban na sake itna to koi majbur nahin
ye mahfil-e-ahl-e-dil hai yahan hum sab mai-kash hum sab saqi
tafriq karen insanon mein is bazm ka ye dastur nahin
jannat ba-nigah tasnim ba-lab andaz us ke ai shaiKH na puchh
main jis se mohabbat karta hun insan hai KHayali hur nahin
wo kaun si subhen hain jin mein bedar nahin afsun tera
wo kaun si kali raaten hain jo mere nashe mein chur nahin
sunte hain ki kanTe se gul tak hain rah mein lakhon virane
kahta hai magar ye azm-e-junun sahra se gulistan dur nahin
'majruh' uThi hai mauj-e-saba aasar liye tufanon ke
har qatra-e-shabnam ban jae ek ju-e-rawan kuchh dur nahin

Ghazal
Taqdir ka shikwa be-mani jina hi tujhe manzur nahin
Majrooh Sultanpuri