tanhai ka ilaj ye mahnga bahut paDa
ukta ke main ne news ka channel lagaya tha
bas ye ki wajh-e-tark-e-talluq hi kuchh rahe
us ne zara si baat pe jhagDa khaDa kiya
bigDail ho chale the kai din se mere KHwab
sach ki chhaDi se sham unhen sidha kar diya
khola tha raat mazi ka ek album ki uf
yaadon ka mere zehn mein tanta bandha raha
wo bar bar puchh raha tha wahi sawal
majbur ho ke jhuT mujhe bolna paDa
dariya ne mere panw akhaDe shurua mein
jab main DaTa raha to wo kamzor paD gaya
tanhai ka tumhaari tha mumkin yahi ilaj
ghar ke har ek kone ko chizon se bhar diya
Ghazal
Tanhai ka ilaj ye mahnga bahut paDa
Saurabh Shekhar

