tang hui jati hai zamin insanon par
kash koi hal pher de qabristanon par
ab kheton mein kuchh bhi nahin pani ke siwa
ye kaisi rahmat barsi dahqanon par
kabhi kabhi tanhai mein yun lagta hai
jaise kisi ka hath hai mere shanon par
main wo pichhle pahar ki hawa ka jhonka hun
dastak deta phire jo band makanon par
kabhi to chah milegi aati sadiyon ki
kan dhare baiTha hun gae zamanon par
Ghazal
Tang hui jati hai zamin insanon par
Nazeer Qaisar