tan-asani nahin jati riya-kari nahin jati
miyan barson mein ye sadiyon ki bimari nahin jati
janab-e-shaiKH yun chalte hain ilm-o-fazl ko le kar
kisi Thele se jaise koi almari nahin jati
kitaben jin ke khul jaane se aankhen band ho jaen
ye danish jis ke aa jaane se bekari nahin jati
miyan 'gul-sher' tum bhi to hawa ke ruKH ko pahchano
jahan saDi chali jati hai phulkari nahin jati

Ghazal
Tan-asani nahin jati riya-kari nahin jati
Syed Zameer Jafri