اردو हिंदी
Tamanna apni un par aashkara kar raha hun main | Shaahi Shayari
tamanna apni un par aashkara kar raha hun main

Ghazal

Tamanna apni un par aashkara kar raha hun main

Fareed Parbati

;

tamanna apni un par aashkara kar raha hun main
jo pahle kar chuka hun ab dobara kar raha hun main

shikast-e-arzu arz-e-tamanna shauq-e-la-hasil
teri KHatir to ye sab kuchh gawara kar raha hun main

qafas mein ji bahalne ke liye wo phul rakh aae
hujum-e-yas mein jin par guzara kar raha hun main

gharaz us chiz se mujh ko nahin meri na jo hogi
ye bais hai ki duniya se kinara kar raha hun main

main khul kar kah nahin sakta niyaz-e-ishq ki baaten
faqat un ki taraf bas ek ishaara kar raha hun main

mere sar par hai baqi ek saya mere mazi ka
sambhal kar asr-e-hazir ka nazara kar raha hun main

'farid' ek din sahaare zindagi ke TuT jaenge
sabab ye hai ki KHud ko be-sahaara kar raha hun main