tamam umr jale aur raushni nahin ki
ye zindagi hai to phir hum ne zindagi nahin ki
sitam to ye hai ki mere KHilaf bolte hain
wo log jin se kabhi main ne baat bhi nahin ki
jo dil mein aata gaya sidq-e-dil se likhta gaya
duaen mangi hain main ne to shaeri nahin ki
bas itna hai ki mera baKHt Dhal gaya aur phir
mere charagh ne bhi mujh pe raushni nahin ki
meri sipah se duniya larazne lagti hai
magar tumhaari to main ne barabari nahin ki
kuchh is liye bhi akela sa ho gaya hun 'nadim'
sabhi ko dost banaya hai dushmani nahin ki
Ghazal
Tamam umr jale aur raushni nahin ki
Nadeem Bhabha