اردو हिंदी
Tamam shaKHsiyat uski hasin nazar aai | Shaahi Shayari
tamam shaKHsiyat uski hasin nazar aai

Ghazal

Tamam shaKHsiyat uski hasin nazar aai

Azhar Inayati

;

tamam shaKHsiyat us ki hasin nazar aai
jab us ke qatl ki aKHbar mein KHabar aai

sharif log chaDhe jab nahin hain koThon par
to kis ke sath ye tahzib baam par aai

guzar ke mujh ko KHad-o-KHal ke sarabon se
tamam shahr mein be-chehragi nazar aai

KHamosh kya hui buDhiya safed baalon ki
kahaniyon ki koi raat phir na ghar aai

ajib shaKHs tha kuchh der guftugu jo hui
dil o dimagh mein ek raushni utar aai

duaen mang rahe the hawa ki log magar
hawa chali bhi to aankhon mein dhul bhar aai

gulab TuT ke bikhra tha kal jahan 'azhar'
usi maqam pe KHushbu mujhe nazar aai