tamam ru-e-zamin par sukut chhaya tha
nuzul kaisi qayamat ka hone wala tha
yahan to aag ugalti hai ye zamin har su
wo ek abr ka para kahan pe barsa tha
bas ek bar hua tha wajud ka ehsas
bas ek bar dariche se us ne jhanka tha
abhi Dasa na gaya tha ye jism tapta hua
abhi KHazina-e-maKHfi pe sanp soya tha
safar mein sar pe teri dhun to thi sawar magar
nigah mein koi manzil na koi rasta tha
ye qatra bahr-e-maani hai maujzan jis mein
qalam ki nok se pahle kabhi na Tapka tha
Ghazal
Tamam ru-e-zamin par sukut chhaya tha
Rafiq Raaz

