tamam rasta phulon bhara hai mere liye
kahin to koi dua mangta hai mere liye
tamam shahr hai dushman to kya hai mere liye
main jaanta hun tera dar khula hai mere liye
mujhe bichhaDne ka gham to rahega ham-safro
magar safar ka taqaza juda hai mere liye
wo ek aks ki pal bhar nazar mein Thahra tha
tamam umr ka ab silsila hai mere liye
ajib darguzari ka shikar hun ab tak
koi karam hai na koi saza hai mere liye
guzar sakunga na is KHwab KHwab basti se
yahan ki miTTi bhi zanjir-e-pa hai mere liye
ab aap jaun to ja kar use sameTun main
tamam silsila bikhra paDa hai mere liye
ye husn-e-KHatm-e-safar ye tilism-KHana-e-rang
ki aankh jhapkun to manzar naya hai mere liye
ye kaise koh ke andar main dafn tha 'bani'
wo abr ban ke barasta raha hai mere liye

Ghazal
Tamam rasta phulon bhara hai mere liye
Rajinder Manchanda Bani