taKHliq pe fitrat ki guzarta hai guman aur
is aadam-e-KHaki ne banaya hai jahan aur
ye subh hai suraj ki siyahi se andheri
aaegi abhi ek sahar mahr-chakan aur
baDhni hai abhi aur bhi mazlum ki taqat
ghaTni hai abhi zulm ki kuchh tab-o-tawan aur
tar hogi zamin aur abhi KHun-e-bashar se
roega abhi dida-e-KHunaba-fiashan aur
baDhne do zara aur abhi kuchh dast-e-talab ko
baDh jaegi do chaar shikan-e-zulf-e-butan aur
karna hai abhi KHun-e-jigar sarf-e-bahaaran
kuchh der uThana hai abhi naz-e-KHizan aur
hum hain wo bala-kash ki masaib se jahan ke
ho jate hain shaista-e-gham-ha-e-jahan aur
Ghazal
TaKHliq pe fitrat ki guzarta hai guman aur
Ali Sardar Jafri