tajrbaat-e-talKH ne har-chand samjhaya mujhe
dil magar dil tha usi mahfil mein le aaya mujhe
husn har shai par tawajjoh ki nazar ka nam hai
bar-ha kanTon ki ranai ne chaunkaya mujhe
dur tak daman-e-hasti par diye jalte gae
der tak umr-e-guzishta ka KHayal aaya mujhe
har nazar bas apni apni raushni tak ja saki
har kisi ne apne apne zarf tak paya mujhe
har rawan lamha baDi tafsil se milta gaya
har guzarte rang ne KHud ruk ke Thahraya mujhe
ghuncha-o-gul mahr o mah abr o hawa ruKHsar o lab
zindagi ne har qadam par yaad farmaya mujhe

Ghazal
Tajrabaat-e-talKH ne har-chand samjhaya mujhe
Syed Zameer Jafri