اردو हिंदी
Tairta mauj-e-hawa sa aasmanon mein kahin | Shaahi Shayari
tairta mauj-e-hawa sa aasmanon mein kahin

Ghazal

Tairta mauj-e-hawa sa aasmanon mein kahin

Mohammad Ahmad Ramz

;

tairta mauj-e-hawa sa aasmanon mein kahin
ek parinda gum hua unchi uDanon mein kahin

main haqiqat hun kisi kirdar mein mujh ko na Dhaal
log dohraen na mujh ko dastanon mein kahin

raat jab hai ikka dukka chappuon ke saz par
git koi gunjta hai baadbanon mein kahin

raat zaKHmi ho rahi hai lamha lamha mere sath
phaDphaDate hain parinde aashiyanon mein kahin

fan ki masti dekhna bahar hisar-e-harf se
sochna bahta hai dariya saebanon mein kahin

raudna ghoDon ki Tapon se mera nahaq badan
aur sar le ja ke phenk aana chaTanon mein kahin

log yakja kar rahe hain 'ramz' meri KHak par
dekhna phir mujh ko mere qadr-danon mein kahin