اردو हिंदी
Tahi-daman barhana-pa rawana ho gaya hun | Shaahi Shayari
tahi-daman barhana-pa rawana ho gaya hun

Ghazal

Tahi-daman barhana-pa rawana ho gaya hun

Ainuddin Azim

;

tahi-daman barhana-pa rawana ho gaya hun
tabahi chal tere shana-ba-shana ho gaya hun

teri raftar par qurban jaun ai taraqqi
main apne ahd mein guzra zamana ho gaya hun

mere atraf rahta hai hujum-e-na-muradi
jabin-e-na-rasa mein aastana ho gaya hun

hawa ki tan par gate hain mujh ko KHushk patte
main har TuTe hue dil ka tarana ho gaya hun

meri miTTi mein ab meri haqiqat DhunDhti hai
main duniya ke liye jab se fasana ho gaya hun

mera bhi tazkira hone laga danishwaron mein
to kya phir main bhi 'azim' kuchh diwana ho gaya hun