tafakkuraat-e-zamana se ho ke begane
ye kis KHayal mein uljhe hue hain diwane
har ek hansta hai lekin ye koi kya jaane
ye ban gae ki banae gae hain diwane
nigah-e-ishq mein shah-o-gada barabar hain
nigah-e-ishq koi imtiyaz kya jaane
kisi ke uThne se suni na hogi bazm koi
bahaar-e-shama salamat hazar parwane
wahi jahan ke nasheb-o-faraaz ko samjhe
chale jo rah-e-mohabbat ki Thokaren khane
yahan KHushi to nahin hai magar pae taskin
ghamon ka nam KHushi rakh liya hai duniya ne
ye jaanta hun ki tai kar raha hun rah-e-hayat
kahan pe hai meri manzil use KHuda jaane
fana hai sab ko in aabaadiyon pe naz na kar
zaban-e-haal se ye kah rahe hain parwane
jo apne hath se koi pila de ai 'shaarib'
us ek jam pe sadqe hazar paimane

Ghazal
Tafakkuraat-e-zamana se ho ke begane
Sharib Lakhnavi