taron bhari palkon ki barsai hui ghazlen
hai kaun piroe jo bikhrai hui ghazlen
wo lab hain ki do misre aur donon barabar ke
zulfen ki dil-e-shair par chhai hui ghazlen
ye phul hain ya sheron ne suraten pai hain
shaKHen hain ki shabnam mein nahlai hui ghazlen
KHud apni hi aahaT par chaunke hun hiran jaise
yun rah mein milti hain ghabrai hui ghazlen
in lafzon ki chadar ko sarkao to dekhoge
ehsas ke ghunghaT mein sharmai hui ghazlen
us jaan-e-taghazzul ne jab bhi kaha kuchh kahiye
main bhul gaya akasr yaad aai hui ghazlen
Ghazal
Taron bhari palkon ki barsai hui ghazlen
Bashir Badr