Talne se waqt kya Talta raha
aastin mein sanp ek palta raha
maut bhi leti rahi apna KHiraj
karobar-e-zist bhi chalta raha
koi to sancha kabhi aaega ras
main har ek sanche mein yun Dhalta raha
shahar ke sare mahal mahfuz the
tera mera aashiyan jalta raha
zindagi mein aur sab kuchh tha hasin
apna hona hi mujhe khalta raha
bujh gae tahzib-e-nau ke sab charagh
ek miTTi ka diya jalta raha
aarzuen KHak mein milti rahin
naKHl-e-ulfat phulta phalta raha
ban ke sone ka hiran tera wajud
mere mahsusat ko chhalta raha
raat bhar suni rahi birhan ki sej
aur aangan mein diya jalta raha
zikr-e-haq bhi tha baja 'sahir' magar
mai-kashi ka daur bhi chalta raha

Ghazal
Talne se waqt kya Talta raha
Sahir Hoshiyarpuri