اردو हिंदी
Taj-e-zarrin na koi masnad-e-shahi mangun | Shaahi Shayari
taj-e-zarrin na koi masnad-e-shahi mangun

Ghazal

Taj-e-zarrin na koi masnad-e-shahi mangun

Arman Najmi

;

taj-e-zarrin na koi masnad-e-shahi mangun
main to bas apne hi hone ki gawahi mangun

mujh ko suqraat ka mansab nahin hasil karna
kya main sach bol ke apni hi tabahi mangun

haar jaunga to miTTi ke qadam chumunga
girti diwar se kya pusht-panahi mangun

zeb deta hai mere tan pe faqiri ka libas
kisi darbar se kya KHilat-e-jahi mangun

meri wahshat ko ye sahra ki masafat kam hai
sair ke waste kuchh aur faza hi mangun

tirgi mein abhi itna to nahin Duba hun
ki nae din ke KHazane se bhi syahi mangun