tab nahin sukun nahin dil nahin ab jigar nahin
apni nazar kidhar uThe koi idhar udhar nahin
roz shab uThte baiThte un ki zaban par nahin
koi nahin ki had nahin sham nahin sahar nahin
koi yahan se chal diya raunaq-e-baam-o-dar nahin
dekh raha hun ghar ko main ghar hai magar wo ghar nahin
itni KHabar to hai zarur le gae dil wo chhin kar
kya hua us ka phir maal is ki mujhe KHabar nahin
kyun wo idhar udhar phire kyun ye hudud mein rahe
teri nazar to hai nazar meri nazar nazar nahin
mujh se bigaD kar apne ghar jaiye KHair jaiye
aap ne ye samajh liya aah mein kuchh asar nahin
dair ko hum ghaTaen kyun kabe ko hum baDhaen kyun
kya hai KHuda ka ghar yahi kya wo KHuda ka ghar nahin
parde se bahar aaiye ruKH se naqab uThaiye
tab-e-jamal la sake itni meri nazar nahin
mujh ko KHayal-e-roz-o-shab KHak rahe mazar mein
aisi jagah hun jis jagah sham nahin sahar nahin
tegh kaho sinan kaho qahr kaho bala kaho
ahl-e-nazar ki rae mein un ki nazar nazar nahin
Dar gae ahl-e-ajnuman tir jo aap ka chala
is ne kaha idhar nahin us ne kaha udhar nahin
roz ke gham ne is tarah KHugar-e-zabt-e-gham kiya
dard hamare dil mein hai shikwa zaban par nahin
puchhte hain wo haal-e-dil tul-e-suKHan se faeda
sau ki ye ek baat hai kah dun mujhe KHabar nahin
un mein kuchh aur baat thi in mein kuchh aur baat hai
hazrat-e-'nuh' ka guman hazrat-e-nuh par nahin
Ghazal
Tab nahin sukun nahin dil nahin ab jigar nahin
Nooh Narvi