اردو हिंदी
Surat-e-haal ab to wo naqsh-e-KHayali ho gaya | Shaahi Shayari
surat-e-haal ab to wo naqsh-e-KHayali ho gaya

Ghazal

Surat-e-haal ab to wo naqsh-e-KHayali ho gaya

Dattatriya Kaifi

;

surat-e-haal ab to wo naqsh-e-KHayali ho gaya
jo maqam ma-siwa tha dil mein KHali ho gaya

mumtana jo tha wo hai zeb-e-badahat qalb ko
jo yaqini amr tha wo ehtimali ho gaya

chhoDi KHud-bini to ab har shai mein husn aaya nazar
dida-e-haq-bin jalali se jamali ho gaya

zauq-e-nazzara ye hai aankhon par ab rakhta hun main
zarre zarre ko jo nazar-e-paemali ho gaya

zoam aur pindar ka haq-ul-yaqin se hai badal
wo gharonda ab to fanus-e-KHayali ho gaya

aankh uTh kar husn-e-qudrat se jo apne par gai
sab KHudi ka rang rang-e-infiali ho gaya

pahle is mein sar tha ai samsam ishq aur jaan thi
kyunki milta tujh se aa ab hath KHali ho gaya

ghairat-e-dil-dada-o-dil-dar ki jati rahi
ab to jo hona tha ai aaqa-e-ali ho gaya

wajah-e-ilm-e-zat ho kyunkar na irfan-e-sifat
kya arz ki shan jab jauhar se KHali ho gaya

jo raha KHuddar hone par KHudi se dur dur
wo dayar-e-ishq o dil-sozi ka wali ho gaya

hai KHata us ko agar aashiq kaho tum jis ka ishq
KHatm jab us ne murad ek apni pa li ho gaya

jazba-e-isar kya quwwat amal ki phir kahan
jab shuur insan ka sarf-e-la-ubaali ho gaya

ai qadamat-kesh sun ye aalam-e-ijad hai
nam jiddat ka azal mein la-yazali ho gaya

chhoD kar lutf-e-suKHan maghz-e-suKHan se kaam lo
kya hua 'kaifi' jo garam-e-KHush-maqali ho gaya