suraj hun zindagi ki ramaq chhoD jaunga
main Dub bhi gaya to shafaq chhoD jaunga
tariKH-e-karbala-e-suKHan! dekhna ki main
KHun-e-jigar se likh ke waraq chhoD jaunga
ek raushni ki maut marunga zamin par
jine ka is jahan mein haq chhoD jaunga
roenge meri yaad mein mahr o mah o nujum
in aainon mein aks-e-qalaq chhoD jaunga
wo os ke daraKHt lagaunga ja-ba-ja
har bund mein lahu ki ramaq chhoD jaunga
guzrunga shahr-e-sang se jab aaina liye
chehre khule darichon mein faq chhoD jaunga
pahunchunga sehn-e-bagh mein shabnam-ruton ke sath
sukhe hue gulon mein araq chhoD jaunga
har-su lagenge mujh se sadaqat ke ishtihaar
har-su mohabbaton ke sabaq chhoD jaunga
'sajid' gulab-chaal chalunga rawish rawish
dharti pe gulistan-e-shafaq chhoD jaunga
Ghazal
Suraj hun zindagi ki ramaq chhoD jaunga
Iqbal Sajid