اردو हिंदी
Suraj hai naya chand naya tare nae hain | Shaahi Shayari
suraj hai naya chand naya tare nae hain

Ghazal

Suraj hai naya chand naya tare nae hain

Pritpal Singh Betab

;

suraj hai naya chand naya tare nae hain
ye kya pas-e-duniya hai jo hum dekh rahe hain

mausam to kai aae magar KHwab hamare
sukhe hue patton ki tarah girte rahe hain

har lamha koi inT ukhaD jati hai jis ki
hum log usi diwar ke sae mein khaDe hain

KHud apne hi sae ne hamein nicha dikhaya
hum sochte the hum sabhi sayon se baDe hain

wo ek bhanwar sunte hain dilkash hai ghazab ka
hain kitne safine jo wahan Dub chuke hain

rangin dukanon mein saje hain jo khilaune
andar se agar dekho to sab TuTe hue hain

'betab' numayan nahin kuchh aise magar han
in lambi qataron mein kahin hum bhi khaDe hain