اردو हिंदी
Suraj chhupa ek ik gul-e-manzar bikhar gaya | Shaahi Shayari
suraj chhupa ek ik gul-e-manzar bikhar gaya

Ghazal

Suraj chhupa ek ik gul-e-manzar bikhar gaya

Jafar Shirazi

;

suraj chhupa ek ek gul-e-manzar bikhar gaya
shoala sa koi dil mein utar kar bikhar gaya

tha chandni ka jism ki shishe ka tha badan
aai hawa to gir ke zamin par bikhar gaya

kal hans ke reg-e-dasht se kahti thi zindagi
main ne chhua hi tha ki wo patthar bikhar gaya

naddi pe ek narm kiran ne rakha jo panw
chaaron taraf sada ka samundar bikhar gaya

'jafar' hamara dil bhi hai wo aaina ki bas
khai zara nigah ki Thokar bikhar gaya