suli chaDhe jo yar ke qad par fida na ho
phansi chaDhe jo qaidi-e-zulf-e-rasa na ho
mazmun wo kya jo lazzat-e-gham se bhara na ho
shaer wo kya kalam mein jis ke maza na ho
bad-nam mere waste wo dilruba na ho
ya-rab adu ke hath se meri qaza na ho
jab apni koi baat baghair-az-dua na ho
dushman ke kahne sunne se nadan KHafa na ho
ho wo agar KHilaf-e-muafiq hawa na ho
Dube wo naw jis ka KHuda naKHuda na ho
dil-dadgi ko husn-e-KHuda-dad kam nahin
naseh agar nahin hai buton mein wafa na ho
roz-e-jaza wo shoKH mile hum ko ai KHuda
is ke siwa kuchh aur adu ki saza na ho
mushkil ka samna ho to himmat na haariye
himmat hai shart sahib-e-himmat se kya na ho
but aazaran-e-waqt banaen agar hazar
tera nazir ek bhi nam KHuda na ho
dhoke mein mere qatl kya us ne ghair ko
qatil ka kya qusur jo meri qaza na ho
sach hai ki har kamal ko duniya mein hai zawal
aisa baDa hai kaun jo aaKHir ghaTa na ho
roz-e-jaza se waiz-e-nadan use Dara
sadma shab-e-firaq ka jis ne saha na ho
milta nahin pata tere chhalle ke chor ka
ai gul-badan ye shoKHi-e-duzd-e-hina na ho
tera gila na ghair ka shikwa zaban pe hai
karta hun arz haal-e-sitamgar KHafa na ho
pate hain kaj-sarisht jaza apne feal ki
kahti hai rasti ki bure ka bhala na ho
bulbul na phul KHanda-e-subh-e-bahaar par
nadan kahin ye KHanda-e-dandan-numa na ho
teri zaban pe aae agar harf-e-iltiyam
kyun kar shikast-e-dil ke liye momya na ho
ghafil mariz-e-ishq ki tu ne KHabar na li
tha ghair us ka haal wo ab tak ho ya na ho
sharminda ai karim na hon aashiqon mein hum
pursish hamare qatl ki roz-e-jaza na ho
karta hai ai 'asar' dil-e-KHun-gashta ka gila
aashiq wo kya ki KHasta-e-tegh-e-jafa na ho
Ghazal
Suli chaDhe jo yar ke qad par fida na ho
Imdad Imam Asar