اردو हिंदी
SurKH makan Dhalta jata hai ek barfili miTTi mein | Shaahi Shayari
surKH makan Dhalta jata hai ek barfili miTTi mein

Ghazal

SurKH makan Dhalta jata hai ek barfili miTTi mein

Sajjad Baluch

;

surKH makan Dhalta jata hai ek barfili miTTi mein
aur makin bhi dekh rahe hain ye tabdili miTTi mein

un galiyon ke ramz-o-kinaya yun wahshat-asar hue
mein to dil hi chhoD ke bhaga is lachkili miTTi mein

KHamyaza hai baam-o-dar par jaane kin barsaton ka
nam-dida pul ghum rahe hain har sau sili miTTi mein

ek sahra mein rone wale pahle TuT ke rote hain
aur duaen bo aate hain phir us gili miTTi mein

kal ji bhar kar zahr unDela hum ne KHwab ki faslon par
har su nili ghas ugi hai ab zahrili miTTi mein

ab shadab ye hogi ja kar jaane kitne ashkon se
jaane kitna KHun milega aur is pili miTTi mein