sunte hain ki mil jati hai har chiz dua se
ek roz tumhein mang ke dekhenge KHuda se
jab kuchh na mila hath duaon ko uTha kar
phir hath uThane hi paDe hum ko dua se
duniya bhi mili hai gham-e-duniya bhi mila hai
wo kyun nahin milta jise manga tha KHuda se
tum samne baiThe ho to hai kaif ki barish
wo din bhi the jab aag barasti thi ghaTa se
ai dil tu unhen dekh ke kuchh aise taDapna
aa jae hansi un ko jo baiThe hain KHafa se
aaine mein wo apni ada dekh rahe hain
mar jae ki ji jae koi un ki bala se

Ghazal
Sunte hain ki mil jati hai har chiz dua se
Rana Akbarabadi