suno ye gham ki siyah raat jaane wali hai
abhi azan ki aawaz aane wali hai
tujhe yaqin to shayad na aaega lekin
ye subh koi karishma dikhane wali hai
kise KHabar hai ki aandhi chalae peD girae
yahi hawa jo patangen uDane wali hai
sameT bikhre hue kaghzat ko apne
koi sada tujhe wapas bulane wali hai
tujhe bhi zulm se fursat na mil sakegi kabhi
meri ana bhi kahan sar jhukane wali hai
meri ghazal pe nae log kyun taDapte hain
meri ghazal to purane zamane wali hai

Ghazal
Suno ye gham ki siyah raat jaane wali hai
Wali Aasi