اردو हिंदी
Suno yar isko ghuTan kuchh nahin hai | Shaahi Shayari
suno yar isko ghuTan kuchh nahin hai

Ghazal

Suno yar isko ghuTan kuchh nahin hai

Amit Sharma Meet

;

suno yar is ki ghuTan kuchh nahin hai
kisi dard ki ab chubhan kuchh nahin hai

khilaune hain miTTi ke hum sab yahan par
haqiqat yahi hai badan kuchh nahin hai

ye mana ki paikar bahut kuchh hai lekin
bina ruh ye pairahan kuchh nahin hai

lagi aag KHwabon mein itni ki samjho
ye aankhon ki mere jalan kuchh nahin hai

main KHud mustaqil hun safar mein so mujh ko
ye lagne laga hai thakan kuchh nahin hai

bina sath tere sabhi kuchh hai suna
ye duniya jahan anjuman kuchh nahin hai

numaish hai sab 'mit' mere ghamon ki
ghazal kuchh nahin hai ye fan kuchh nahin hai