suno ujDa makan ek bad-dua hai
sada andar sada andar sada hai
KHizan ek gham-zada bimar aurat
hawa ne chhin li jis ki rida hai
sitara jal-bujha muKHtar tha wo
diya majbur tha jalta raha hai
sar-e-mizhgan ubhar aana tha jis ko
kahan wo mehrban tara gaya hai
ugi hain chaar su baaten hi baaten
ajab si har taraf aawaz-e-pa hai
hawa us ko uDa le ja kahin tu
ye baadal apne par phaila raha hai
hai uryani to aadat chandni ki
andhera be-sabab sharma raha hai
sitaron aur shararon mein Thani hai
mohabbat ki magar ye bhi ada hai
ye kaisi aankh thi jo ro paDi hai
ye kaisa KHwab tha jo bujh gaya hai
hawa ab chal paDi hai teri jaanib
hawa ko baadban ras aa gaya hai
jo dil mein phans thi so rah gai hai
yahan warna sabhi kuchh ho gaya hai

Ghazal
Suno ujDa makan ek bad-dua hai
Wazir Agha